logo

Arsh (Mixtape Version)

logo
الكلمات
Ahankhar nahi sapno me abhi saas hai

Mujhe pyaar nahi ye aaj bhi sawaal hai

Sahara bani bethi murda ek misaal hai

Sheesha keheta gayaab abhi bhi lihaaz hai

Libaaz geene chune insaan ki tarah

Geere aasu jinpe thande kisi laash ki tarah

Sanaata rehta dafan raaz ki tarah

Ubhre asthiyo se kabhi neeli shaam ki tarah

Ye jo aasmaan hai dikh rahaaaa

Isko chuune ka kya mann huaa

Mera bhi hua tha jeene ka banaya falsafa

Par pahuncha kaha hun abtk mujhe uska bhi to nahi ptaaaa

Par kyun? Mai puchta khud se hun

Ki kyun hi chalta hun kabhi

Rukne ki wajah mai ab dhundta kyun nahi hun hun

Ye jo aasmaan hai dikh rahaaa

Kya wo jeene ki to nahi wajaah

Maine pucha apne aap se kya zinda hun ya ji raha

Bas jine ko ya mar chuka ye mujhko bhi to nahi pta

Par haan shayad mujhme kami

Mai dekh kyun nahi paata

Apne se bhi to mai ab mai rukna nahi chahta.chahta.haan

Ye jo asmaan hai dikh rahaaaa

Wahi pahunchna kya ptaaaa

To lagaya zor khole par aur ud gya mai yun

Ki dikhna nahi hai bas na mujhse puchna ab ye kyun?

Par haan! Ab baitha hun jahan dekhu sara jahan khud pe na hai

Guman ab mai sabkuch jeet aya!

Aayaaa

Ab mai sabkuch jeet aaya... Aayaaa

Ab mai sabkuch jeet aaya... Aayaaa

Nakli sitare upar, chaand ko naarazgi hai

Maine satah mein rah ke, khud ki talash ki hai

Lalach bhi lazmi hai, bhuk nahi aashiqi hai

Pagalapan bol, mehnat bina kya aadmi hai

Raat ko jaan di hai, Deewanapan Aisa

Duniya nahi jaanti hai, hoga zamana mera

Kalam se khodke, kar diya ye panna gehra

Ab dekhte hai rahega tu kabtak behra

Garibi sirf kahani nahi, ye Dard hi deta maksad

Suna ghar se aksar, galat hai tere lakshan

Mannmaani bas kar, par mann Marta lad kar

Kisi ko bhi na khabar, inn dhuno ke bina kabar

Daftar mein na daffan, ye shabdh hi mere kafan

Bhale hi meri Lash pe hi gire sare dhan ab

Rahu Na ghum ab, Every verse is a one up

Living by my word, so my words really live up

Arsh (Mixtape Version) لـ Agaahi Raahi/AKX/Circle Tone - الكلمات والمقاطع