Kabhi kisi ko muqammal
Jahaan nahin miltaa
Kabhi kisi ko muqammal
Jahaan nahin miltaa
Kahin zamin to kahin
Aasmaan nahin miltaa
Kabhi kisi ko muqammal
Jahaan nahin miltaa
Jise bhi dekhiye
Wo apne aap mein ghum hai
Jise bhi dekhiye
Wo apne aap mein ghum hai
Zubaan mili hai magar
Hum zubaan nahin miltaa
Zubaan mili hai magar
Hum zubaan nahin miltaa
Kabhi kisi ko muqammal
Jahaan nahin miltaa
Bujha saka hai bhala kaun waqt ke shole
Bujha saka hai bhala kaun waqt ke shole
Ye aisi aag hai jismen
Dhuwaan nahin miltaa
Ye aisi aag hai jismen
Dhuwaan nahin miltaa
Kabhi kisi ko muqammal
Jahaan nahin miltaa
Tere jahaan mein
Aisa nahin ke pyaar naa ho
Tere jahaan mein
Aisa nahin ke pyaar naa ho
Jahaan umeed ho iski
Wahaan nahin miltaa
Jahaan umeed ho iski
Wahaan nahin miltaa
Kabhi kisi ko muqammal
Jahaan nahin miltaa
Kahin zamin to kahin
Aasmaan nahin miltaa
Kabhi kisi ko muqammal
Jahaan nahin miltaa