logo

Yeh To Sach Hai Ke Bhagwan Hai (Short Ver.)

logo
الكلمات
Yeh To Sach Hai Ki Bhagwan Hai,

Hai Magar Phir Bhi Anjaan Hai,

Yeh To Sach Hai Ki Bhagwan Hai,

Hai Magar Phir Bhi Anjaan Hai,

Dharti Pe Roop Maa Baap Ka,

Us Vidhaata Ki Pehchaan Hai

Yeh To Sach Hai Ki Bhagwan Hai..

...

Janmdaata Hai Jo, Naam Jinse Mila,

Thamkar Jinki Ungli Hai Bachpan Chal

Kaandhe Par Baithke, Jinke Dekha Jahaan

Gyan Jinse Mila, Kya Bura Kya Bhala

Itne Upkaar Hain Kya Kahen

Yeh Bataana Na Aasaan Hai

Dharti Pe Roop Maa Baap Ka

Us Vidhaata Ki Pehchaan Hai...

Yeh To Sach Hai Ki Bhagwan Hai..

..

Janam Deti Hai Jo, Maa Jise Jag Kahe

Apni Santaan Mein, Pran Jiske Rahe

Loriyan Hothon Par, Sapne Bunti Nazar

Neend Jo Vaar De, Hanske Har Dukh Sahe

Mamta Ke Roop Mein Hai Prabhu

Aapse Paaya Vardaan Hai

Dharti Pe Roop Maa Baap Ka

Us Vidhaata Ki Pehchaan Hai

Yeh To Sach Hai Ki Bhagwan Hai..

...

Aapke Khwab Hum, Aaj Hokar Jawaan

Us Param Shakti Se Karte Hain Prarthna

Unki Chhaya Rahe, Rehti Duniya Talak

Ek Pal Reh Sake Hum Na Jinke Bina

Aap Dono Salaamat Rahe

Sabke Dil Mein Yeh Armaan Hai

Dharti Pe Roop Maa Baap Ka

Us Vidhaata Ki Pehchaan HaiYeh To Sach Hai Ki Bhagwan Hai,

Hai Magar Phir Bhi Anjaan Hai,

Dharti Pe Roop Maa Baap Ka,

Us Vidhaata Ki Pehchaan Hai

Yeh To Sach Hai Ke Bhagwan Hai (Short Ver.) لـ Ghanshyam Vaswani - الكلمات والمقاطع