Yeh to sach hai ki bhagwan hai..
Hai magar phir bhi anjan hai..
Yeh to sach hai ki bhagwan hai..
Hai magar phir bhi anjan hai..
Dharati pe roop ma bap ka..
Us vidhata ki pehchan hai..
Yeh to sach hai ki bhagwan hai..
Janmdata hai jo, naam jinse mila..
Thamkar jinki ungli hai bachpan chala..
Hoo.. Hoo.. Oo..
Kandhe par baithke, jinke dekha jahan..
Gyan jinse mila kya bura kya bhala..
Itne upkar hain kya kahe..
Yeh batana naa aasan hai..
Dharati pe roop maa bap ka..
Us vidhata ki pehchan hai..
Yeh to sach hai ki bhagwan hai..
Janmdeti hai jo, maa jise jag kahe..
Apanee santan mein pran jiske rahe..
Hoo.. Hoo.. Oo..
Loriya hothon par, sapne bunti nazar..
Nind jo var de, hanske har dukh sahe..
Mamta ke roop me hai prabhu..
Aapse paya vardan hai..
Dharati pe roop maa bap ka..
Us vidhata ki pehchan hai..
Yeh to sach hai ki bhagwan hai..
Aapke khwab ham, aaj hokar jawan..
Us param shakti se karte hain prarthna..
Hoo.. Hoo.. Oo..
Unki chaaya rahe, rehti duniya talak..
Ek pal reh sake, ham naa jinke bina..
Aap dono salamat rahe..
Sabke dil me yeh armaan hai..
Dharati pe roop ma bap ka..
Us vidhata ki pehchan hai..
Yeh to sach hai ki bhagwan hai..
Hai magar phir bhi anjan hai..
Dharti pe roop maa bap ka..
Us vidhata ki pehchan hai..