(Praxant)
Roj sochu kya nibha paunga wadein mai
Ye dor meri jaa fasi hai kisi manjhe mai
Kasam khake kehta hu aaj hote hum kuch aur
Agar chodh ke naye gaye hote tum hume safar ke aadhe mai
Jyade mai bhi khus rehta khus rehta kam mai
Thokar dete tum tabhi jeena sikhe ghum mai
Likh raha hu hath se par ankhein meri num hai
Ungli meri trigger pe aur mathe pe abb gun hai
Ghamand hai use ki wo piche mere rehta tha
Wo bolti thi kadva fir bhi mai sehta tha
Ye pyarr nahi to kya tha use samjh hi naa aaya
Mai tuta bohot baar use taras hi naa aaya
Ya to dil nahi tha usme ya dimag mujhse jyada tha
Jhooth nahi bolunga use har baat batata tha
Wo baton ko samjhe isi aas mein mai baitha hu
Abb dard likhta panno mein mai muh se nahi kehta hu
(HarshLmao)
Kho diya hai khudko khudse ho gaya hu door mei
Jaal tha woh buna tune fasa tere noor mei
Aankhein sharmsaar kya fayda ab ghoor ke
Bheed mei hu rehta fir bhi sun nahi paata shor yeh
Daur yeh, kaisa zindagi ka aaye ab
Na jaanu kya hai dukh, Na gum yeh sataye ab
Isi mei khush tera sath mujhe khaye ab
Itna hi safar tha yeh kripya karke jaye ab
Chali toh gayi par yaadein teri sath hai
Rona nahi chahta fir bhi rota hu har raat mei
Kitne haseen the tere haath mere haath mei
Khair chhodo ab kya fayda hai iss baat mei
Mili hai seekh mujhe apne in haalat se
Kisiko zyada pyaar diya uski aukaat se
Usi ka fal milra usi ke karamat yeh
Dil diya use woh khel gayi jazbaat se
Ab toh yeh dil bhi nahi lagta kisi cheez mei
Ab bass dil karta hai banate jau geet yeh
Ab bass dil karta hai ki zor se tu cheekh de
Ki galat insaano se hi hai bande seekhte