Kahan chala, aye mere jogi
jeewan se tu bhaag ke
Kisi aik dil ke karan
yun sari duniya tyaag ke
Chhod de, sari duniya kisi ke liye
Yeh munaasib, nahin aadmi ke liye
pyar se bhi zaroori kai kam hai
pyar sab kuch nahi zidagi ke liye
chhod de sari duniya kisi ke liye
Tann se tann ka, milan ho na paya to kya
Man se mann ka milan koi kam to nahin
Man se mann ka, milan koi kam to nahin
Khushboo aati rahe, door hi se sahi
Saamne ho chaman koi kam to nahin
Saamne ho chaman koi kam to nahin
Chand milta nahin sabko sansaar mein
Chand milta nahin sabko sansaar mei
Hai diya hi bahut, roshni ke liye
Chhod de sari duniya kisi ke liye
Kitni hasrat se takti hain kaliyan tumhe
Kyun bahaaron ko phir se bulaate nahin
Kyun bahaaron ko phir se bulaate nahin
aik duniya ujad hi gayi hai to kya
Doosra tum jahan kyun basaate nahin
Doosra tum jahan kyun basaate nahi
Dil ne chaahe bhi to, saath sansaar ke
Dil ne chaahe bhi to, saath sansaar ke
Chalna padta hai sab ki khushi ke liye
Chhod de sari duniya kisi ke liye
Yeh munaasib, nahin aadmi ke liy
Pyaar se, bhi zaroori kayi kam hain
Pyaar sab kuchh nahin zindagi ke liye
Chhod de, sari duniya kisi ke liye
.