Jaal1953
Ye raat ye chandni phir kahan
Sun ja dil ki dastaan
Ye raat ye chandni phir kahan
Sun ja dil ki dastaan
Chandni raatein pyar ki baatein
Kho gayi jaane kahan
Ye raat ye chandni phir kahan
Sun ja dil ki dastaan
Aati hai sada teri
Toote hue taaron se
Aahat teri sunti hoon
Khamosh nazaaron se
Bhigi hava, uoadi ghata
Kehati hai teri kahani
Tere liye, bechain hain
Sholon mein lipati jawani
Seene mein balkha raha hai dhuan
Sun jaa dil ki dastaan
Ye raat ye chandni phir kahan
Sun jaa dil ki dastaan
Chandni raatein pyar ki baatein
Kho gayi jaane kahan
Laharon ke labon par hai
Khoye hue afsaane
Gulzaar ummidon ke
Sab ho gaye viraane
Tera pata paoon kahan
Soone hain saare thikane
Jaane kahan gum ho gaye
Jaake wo agale zamane
Barbaad hai aarazu ka jahaan
Sun ja dil ki dastaan
Ye raat ye chandni phir kahan
Sun ja dil ki dastaan
Sun ja dil ki dastaan
Sun ja dil ki dastaan
MalekZaman