huatong
huatong
avatar

Duniya Walon Se Door

Lata Mangeshkar/Mukeshhuatong
nbambi40huatong
الكلمات
التسجيلات
Duniyaa waalo.n se duur,

jalane waalo.n se duur

Aajaa aajaa chale.n,

kahii.n duur, kahii.n duur, kahii.n duur

Duniyaa waalo.n se duur,

jalane waalo.n se duur

Aajaa aajaa chale.n,

kahii.n duur, kahii.n duur, kahii.n duur

Wo pyaar kaa jahaa.N hai,

Har dil pe maharabaa.N hai

Kuchh aur ye zamii.n hai,

Kuchh aur aasamaa.N hai

Na zulm ka nishaa.N hai,

Na Gam ki daastaa.N hai

Har koi jisako samajhe,

Wo pyaar ki zubaa.N hai

Duniyaa waalo.n se duur,

jalane waalo.n se duur

Aajaa aajaa chale.n,

kahii.n duur, kahii.n duur, kahii.n duur

Ulfat ki raagini mein

Mastaani beKhudi mein

So jaayenge ye do dil,

Khoi si chandani mein

Phir kya karegi duniyaa,

Jal jal maregii duniyaa

Taaro.n mein do sitaare

Dekha karegi duniyaa

Duniyaa waalo.n se duur,

jalane waalo.n se duur

Aajaa aajaa chale.n,

kahii.n duur, kahii.n duur, kahii.n duur

Haatho.n mein haath Dale,

Khud ko bhii na sambhaale

Nikalenge ham jidhar se

Ho jaayenge ujaale

Chandaa kahegaa hansakar,

Seene pe haath rakh kar

Wo jaa rahe hai.n dekho,

Do pyaar karane waale

Duniyaa waalo.n se duur,

jalane waalo.n se duur

Aajaa aajaa chale.n,

kahii.n duur, kahii.n duur, kahii.n duur

Duniyaa waalo.n se duur,

jalane waalo.n se duur

Aajaa aajaa chale.n,

kahii.n duur, kahii.n duur, kahii.n duur

Duniyaa waalo.n se duur,

jalane waalo.n se duur

Aajaa aajaa chale.n,

kahii.n duur, kahii.n duur, kahii.n duur

المزيد من Lata Mangeshkar/Mukesh

عرض الجميعlogo

قد يعجبك