logo

Yeh Ankhen Dekh Kar

logo
الكلمات
Ye aankhe dekh kar hum

Saari duniya bhul jaate hai

Ye aankhe dekh kar hum

Saari duniya bhul jaate hai

Innhe paane..ki…

Inhe paane ki dhun main

Har tamnna bhul jaaate haiiiii..

Tum apni meheki meheki

Zulf ke pechon ko kum kar do

Tum apni meheki meheki

Zulf ke pechon ko kum kar do

Musafir in main ghirkar apna

Rasta bhul jate, bhul jate hai

Ye aankhe dekh kar hum

Saari duniya bhul jaate hai

Ye baahen,.. jab hume apni

Panaahon main bulati hai

Ye baahen, jab hume apni

Panaahon main bulati hai

Hame apni kasam

Hame apni kasam

Hum har sahara bhul jaate hai.

tumhare narm o naazuk

Honth jis dum muskuraate hain

Tumhare narm o naazuk

Honth jis dum muskuraate hain

Bahaaren jhenpati hain

Ful khilna bhul jaate haiiiI..

Ye aankhe dekh kar hum

Saari duniya bhul jaate hai

Bahot kuchh tumse kehene ki

Tamnaa dil main rakhte hai

Bahot kuchh tumse kehene ki

Tamnaa.. dil main rakhte hai

Magar jab samane aate hai

Kehena bhul jaate hain

Mohabbat main zubaan chup ho to

Aankhe baat karti hai

Mohabbat main zubaan chup ho to

Aankhe baat karti hai

Vo keh deti hai sab baate jo

Kehena bhul jaate haiiiI..

Ye aankhe dekh kar hum

Saari duniya bhul jaate hai

Ye aankhe dekh kar hum

Saari duniya bhul jaate hai