logo

Aaj Ki Mulaqat Bas Itni

logo
الكلمات
Fem: Aaj ki mulaakaat bas itni

Kar lena baate kal chaahe jitni

Aaj ki mulaakaat bas itni

Kar lena baate kal chaahe jitni

Mal: Achchhi nahi hoti hai zid itni

dekho hame tumse hai prit kitni

Fem: Aaj ki mulaakaat bas itni...

Fem: Pyaar jo kiya hai jataate ho kyu

Baat aisi hontho pe laate ho kyu

Pyaar jo kiya hai jataate ho kyu

Baat aisi hontho pe laate ho kyu

Mal: Aur ham jo puchhe sataate ho kyu

Abhi abhi aaye ab jaate ho kyu

Fem: Aaj ki mulaakaat bas itni

Kar lena baate kal chaahe jitni

Mal: oho..Achchhi nahi hoti hai zid itni

Dekho hame tumse hai prit kitni

Fem: oho..Aaj ki mulaakaat bas itni...

Mal: Kabhi kabhi aise bhi aaya karo

Chaand nikle to ghar jaaya karo

Kabhi kabhi aise bhi aaya karo

Chaand nikle to ghar jaaya karo

Fem: Ayenge jaayenge marzi se ham

Pyaar hai to naaz bhi uthaaya karo

Mal: Achchhi nahi hoti hai zid itni

Dekho hame tumse hai prit kitni

Fem: Aaj ki mulaakaat bas itni

Kar lena baate kal chaahe jitni

Aaj ki mulaakaat bas itni...

Mal: Thaharo mai dil ko sambhaalu zara

Palko me tumko chhupa lu zara

Thaharo mai dil ko sambhaalu zara

Palko me tumko chhupa lu zara

Fem: Samajhe na ab tak mohabbat hai kya

Aao tumhe ye bhi samajha du zara

Mal: Achchhi nahi hoti hai zid itni

Dekho hame tumse hai prit kitni

Fem: Aaj ki mulaakaat bas itni

Kar lena baate kal chaahe jitni

Aaj ki mulaakaat bas itni...

Aaj Ki Mulaqat Bas Itni لـ Mahendra Kapoor/LATA - الكلمات والمقاطع