**** 
**** 
Woh rang bhi kya rang hai 
Milta na jo tere honth ke rang se hubahu 
Woh khushboo kya khushboo 
Thehre na jo teri saanwari zulf ke rubaru 
Tere aage yeh duniya hai pheeki si 
Mere bin tu na hogi kisi ki bhi 
Ab yeh zahir sare-aam hai 
Elaan hai 
Jab tak jahaan mein subha shaam hai 
Tab tak mere naam tu 
Jab tak jahaan mein mera naam hai 
Tab tak mere naam tu 
Jab tak jahaan mein subha shaam hai 
Tab tak mere naam tu 
Jab tak jahaan mein mera naam hai 
Tab tak mere naam tu 
INTERLUDE 
**** 
**** 
Uljhan bhi hoon teri 
Uljhan ka hal bhi hoon main 
Thoda sa ziddi hoon 
Thoda pagal bhi hoon main 
Barkha, bijli, baadal jhoote 
Jhooti phoolon ki saughatein 
Sachchi tu hai, sachcha main hoon 
Sachchi apne dil ki baatein 
Dastkhat hathon se hathon pe kar de tu 
Na kar aakhon pe palkon ke parde tu 
Kya yeh itna bada kaam hai! 
Elaan hai 
Jab tak jahaan mein subha shaam hai 
Tab tak mere naam tu 
Jab tak jahaan mein mera naam hai 
Tab tak mere naam tu 
Jab tak jahaan mein subha shaam hai 
Tab tak mere naam tu 
Jab tak jahaan mein mera naam hai 
Tab tak mere naam tu 
INTERLUDE 
**** 
**** 
Mere hi ghere mein ghoomegi har pal tu ayse 
Suraj ke ghere mein rehti hai dharti yeh jayse 
Payegi tu khudko na mujhse juda 
Tu hai mera aadha sa hissa sada