Jaagti aankhon ne jo sapnon mein dekhi thi
Koi toh hogi duniya
Yaadon ne baatein jo mushkilon se jodi thi
Kharch karein khamoshiyaan
Yeh dil kya kare? Yeh dil kya kare?
Yeh dil kya kare? Yeh dil kya kare?
Tu paas toh nahin thi
Par ehsaas hi wajah thi
In saanson ko saja ke
Kyun iss dil ko fir saza di?
Behla ke iss mann ko maine
Kuch baatein bhi sikha di
Tere jaate hi dil ki mitti mein
Yaadein bhi chhupa di
Lagta hai, yaadein yeh kaafi puraani hain
Beeti hon jaise sadiyaan
Jaagti aankhon ne jo sapnon mein dekhi thi
Koi toh hogi duniya
Yaadon ne baatein jo mushkilon se jodi thi
Kharch karein khamoshiyaan
Yeh dil kya kare? Yeh dil kya kare?
Yeh dil kya kare? Yeh dil kya kare?
Tujh bin maangoon bhi kya
In khokhli duaaon mein?
Main tere jaate hi
Ab poochhoon in hawaon se
Aas bhi toh leke
Main baitha hoon kinaaron ki
Chaahe toofaanon se ghira
Qudrat ne zindagani jeeni sikhani thi
Shayad tu hi thi zariya
Jaagti aankhon ne jo sapnon mein dekhi thi
Koi toh hogi duniya
Yaadon ne baatein jo mushkilon se jodi thi
Kharch karein khamoshiyaan
Yeh dil kya kare? Yeh dil kya kare?
Yeh dil kya kare? Yeh dil kya kare?