logo

Mujrim Na Kehna Mujhe

logo
الكلمات
aaaaaaa aa

aaaaaaa aa

mujrim na kehna mujhe logo

mujrim to sara zamana hai

mujrim na kehna mujhe logo

mujrim to sara zamana hai

pakda gaya wo chor hai

jo bach gaya wo sayana hai

mujrim na kehna mujhe logo

mujrim to sara zamana hai

pakda gaya wo chor hai

jo bach gaya wo sayana hai

mujrim na kehna mujhe logo

mujrim to sara zamana hai

jis umar mein chahiye

maa ka aanchal

mujhko salakhen mili

nanhe se haathon mein

pustak ke badle

hathkadiyaan daali gayi

bachpan hi jab

kaidkhane mein beeta

jawaani ka phir kya thikana hai

mujrim na kehna mujhe logo

mujrim to sara zamana hai

main tha pasina

bahane ko razi

roti na phir bhi mili

maine sharafat se

jab jeena chaha

thokar pe thokar lagi

main tha pasina

bahane ko razi

roti na phir bhi mili

maine sharafat se

jab jeena chaha

thokar pe thokar lagi

kaise bhi ho pet ki aag hai ye

ye aag sab ko bujhana hai

mujrim na kehna mujhe logo

mujrim to sara zamana hai

paapon ki basti mein kaise rahega

banke koi devta

jeewan ke sangram

mein sab munasif

chahe bhala ya bura

insaan lekin kabhi ye na bhoole

bhagwaan ke ghar bhi jaana hai

mujrim na kehna mujhe logo

mujrim to sara zamana hai

pakda gaya wo chor hai

jo bach gaya wo sayana hai

mujrim na kehna mujhe logo

mujrim to sara zamana hai