Dil todne waale
Tujhe dil dhundh raha hai
Tujhe dil dhundh raha hai
Aawaaz de tu kaun si nagri mein
Chhupaa hai
Dil todne waale
Tu humko jo mil jaaye
To haal apna sunaaye
Khud roye kabhi aur
Kabhi tujhko rulaayen
Kabhi tujhko rulaayen
Wo daag dikhaaye jo
Humen tune diyaa hai
Aye dil ke sahaare
Tujhe dil dhundh raha hai
Tujhe dil dhundh raha hai
Seene mein teri yaad ka
Toofan utha hai
Aye dil ke sahaare
Dil mein to ye hasrat hai
Tere paas main aaun
Nazron se gira hoon to
Nazar kaise milaaun
Nazar kaise milaaun
Badnaam hoon naakaam hoon
Kya mujh mein raha hai
Aye dil ke sahaare
Tujhe dil dhundh raha hai
Tujhe dil dhundh raha hai
Dikhlaa ke kanaara
Mujhe mallaah ne loota
Kashti bhi gayi haath se
Patwaar bhi chhuta
Patwaar bhi chhuta
Ab aur naa jaane
Meri taqdeer mein kya hai
Dil todne waale
Tujhe dil dhundh raha hai
Tujhe dil dhundh raha hai
Bechain udhar tu hai
To majboor idhar hum
Baithe hai chhupaaye huye
Ashqon mein tera ghum
Ashqon mein tera ghum
Har chot ubhar aayi hai
Har zakhm hara hai
Dil todne waale
Tujhe dil dhundh raha hai
Tujhe dil dhundh raha hai