logo

Mor

logo
الكلمات
Mujhko mila ek mauka

Lamhe, ghadiyon ko roka

Tumne suna hi hoga

Iss dil ka pehla dhoka

Baadal par ja so jaun

Chaahun gaayab ho jaun

Kisko kya fark bataun

Kho jaun, mil na paaun

Main ladta raha, mujhe hosh nahin tha

Ek point ke baad bacha josh nahin tha

Haan main ladta raha, mera dosh nahin tha

Chhodo duniya, main khud ka bhi dost nahin tha

Akele tha peeta main, koi toast nahin tha

Mera verse kabhi better than the most nahin tha

Sabhi bhaagte se rehte the, main roz wahin tha

Ghup andheron mein pada K Hole'd kahin tha

Kahin tha, kahin tha, kahin tha

(Kahin toh tha)

Ho ke bhi main nahin tha

Jaise dikhte hum, waise kyun na hain?

Kya sabhi ka dil yahan soona hai?

Kyun lagaate ladke ye choona hain?

Aakaash ab mujhe choona hai

Lehraate hum kabhi yun na hain

Beta society hai, ye koi Zoo na hai

Dhundhu jawaabon mein, mile tu na hai

Aaja bacha le, kari maine choon na hai

Duniya ye

Duniya main kahin chhod na du

Kehta sach, main koi chor na hoon

They don't know main something more sa hoon

Bas main chahta, bas

(bas)

Ki main tumse kabhi bore na houn

Hosh se ye rishta tod na doon

They don't know main something more sa hoon

Something more sa hoon

Gati tez jaise quantum computer

Mujhe pakdo main udta kabootar

I won't lie hua karta tha user

Hoke clean faadu smackiyon ki chootad

Garv se kahun mil gaya samaan

Aur bas aise hi main ban gaya insaan

Dhundhe views, Iris feel like Raihan

Din ye dope hai, jo chaiye mujhse maang

Nasha kal ka mujhe na jaane aaj kyun chadhe

Hote saaf dikhein mujhe, maine paap jo kare

Baje beat jo ye, Natiq meri saans yun dhare

Sangeet ke rangon se apne ghaav yun bharein

Aise yaar mile, kaam faadu saath mein karein

Mujhe bhaate jo log mere saath mein khade

Baat cheet thodi apne itihaas se karein

Yun hi chalta chaloon main sansaar ke parey

Jaise dikhte hum, waise kyun na hain?

Kya sabhi ka dil yahan soona hai?

Kyun lagaate ladke ye choona hain?

Aakaash ab mujhe choona hai

Lehraate hum kabhi yun na hain

Beta society hai, ye koi Zoo na hai

Dhundhu jawaabon mein, mile tu na hai

Aaja bacha le, kari maine choon na hai

Duniya ye

Duniya main kahin chhod na du

Kehta sach, main koi chor na hoon

They don't know main something more sa hoon

Bas main chahta, bas

(bas)

Ki main tumse kabhi bore na houn

Hosh se ye rishta tod na du

They don't know main something more sa hoon

Something more sa hoon

Chhutku bhaalu ko sangeet acha lagta hai

Vah geet gaana jaanta hai

Bahut se vaadhya bhi baja leta hai

Uske teen mitr hain

Manu, Meeta aur Geeta

Unko bhi sangeet pasand hai

Vah sab mil kar nahi dhunein banaate rehte hain

Naye naye gaane bhi rachte rehte hain

Chalo, aaj ek naya sangeet banaate hain

Aao banaayein ek nayi dhun

Mor لـ Nanku/Natiq - الكلمات والمقاطع