Shrap de diya muniwar ne fir
Jao manusya ki yoni sab
Aatho vashu pachtane lage the
Nau payashu je pooche aab
Shrap grasht ho jane par
Aatho vashu ganga sharan pare
Ganga ji meri janni ban kar
Mata mujh par kripa kare
Ganga ne shwikaar kar liya
Aatho vashuon ke janm ko
Aapni kokh se mai janm mai dungi
Boli vasuon tum sab ko
Raja shantanu roop me mere
Raja mahabhish janme re
Unhin se varn karungi ja ke
Woh hi humare sapne hain
Sut ji kahete raja shantanu sat parakram wala
Sut ji kahete raja shantanu sat parakram wala
Devi bhagwat sun lo man ka mite sabhi andhiyara
Jay jay jay ambe
Jay jay jagdambe
Jay jay jay ambe
Jay jay jagdambe
Raja shantanu ek baar van me
Shikaar karne ko the chale
Ganga tat pe ghoom rahe the
Ek kanya se ja ke mile
Sundar shushila gaurangi se poocha
Koun ho tum devi
Yakshini apshara naag kanya
Ya manush ya gandharvi
Jo bhi ho meri patni banna kar lo tum swikaar ji
Mai hun raja shantanu tum par mohit hun mai aaj ji
Hansh kar boli ganga roopi weh kanya fir rajan se
Shart humari mano yadi to patni banungi tan man se
Ganga ki har shart ko shantanu raja ne swikara
Ganga ki har shart ko shantanu raja ne swikara
Devi bhagwat sun lo man ka mite sabhi andhiyara
Jay jay jay ambe
Jay jay jagdambe
Jay jay jay ambe
Jay jay jagdambe
Raja ne swikar kiya jab ganga saat putra janmi thi
Saato ko wej jal ki dhara me hi swayam pravahit ki
Aathwe putra pe rajan ne jab tok diya tha ganga ko
Raja ka vachan tut gaya bole to putra fir ganga ko
Ganga ji ne rajan ko fir poorv janam ki katha kahi
Devo ka kaam banane hi mai is dharti par aai thi
Lo ye athwa putra tumhara mahaveer balshali ho
Ye ganje vishv naam se bada hi gauravshali ho
Le jati palan hetu lautaungi putra tumhara
Le jati palan hetu lautaungi putra tumhara
Devi bhagwat sun lo man ka mite sabhi andhiyara
Jay jay jay ambe
Jay jay jagdambe
Jay jay jay ambe
Jay jay jagdambe
Bhishm ke jeevan ki adbhut katha likhi hai vyash ne
Vachnisht ek pitra bhakt ki mahima gai hai vyas ne
Ganga ji ne shaup diya tha putra bhishm ko shantanu ko
Shantanu pita ke saath saath karte the safal jeevan ko
Ek din pita ke saath ja rahe the aakhet ko bhishm ji
Pita ne yamuna tat par dekha
Ek sundari kulin thi
Kashtoori si mahek rahi thi
Shantanu mukdh hue the
Vyah hetu karne ko nivedan uske pita se bole the
Kanya pita ne vachan liya bane nati mera hi raja
Kanya pita ne vachan liya bane nati mera hi raja
Devi bhagwat sun lo man ka mite sabhi andhiyara
Jay jay jay ambe
Jay jay jagdambe
Jay jay jay ambe
Jay jay jagdambe