gumsum-gumsum rahtee hoon , apanee dhun mein bahtee hoon
tumse milkar rozaana
jaise pehlee baarish hoon , lagtaa hai ik khwaahish hoon
tumse milkar rozaana (rozaana)
ai, humnashi, tum sang ho to aasamaan hai ye zameen
ai, humnashi, tum jo nahin to ye jahaan kuch nahin
bin tumhaare kuch nahin
thaanaa-bana bunata hoon , ik afasaana bunata hoon
tumse milkar rozaana
taareephen- vaare ginata hoon , khud se baathen karthaa hoon
tumse milkar rozaana (rozaana)
ai, humnashi, tum sang ho to aasamaan hai ye zameen
ai, humnashi, tum jo nahin to ye jahaan kuch nahin
bin tumhaare kuch nahin (kuch nahin)
(That's all the world)
(I don't know about)
haan , guzare naa pal koyi jis mein shaamil tum naa raho
chaahoon naa din koyi jiskaa hasil tum naa raho
lekin jaise shaam ka sooraj roz hee dhaltaa hai
maine sunaa hai pyaar ka mausam roz badalata hai
ai, humnashi, tum sang ho to aasamaan hai ye zameen
bin tumhaare kuch nahin
(That's all the world)
pyaar ka mausam chaahe badle main naa kabhi badloonga
koyi pal ho, koyi lamhaa haath nahin chhodoonga, yaaraa
dil se tumhein chaahaa tha jaanaa, dil se tumhein chaahoongaa
chaahe kaheen bhee jaaoon lekin, laut ke main aaungaa
ai, humnashi, tum sang ho to aasamaan hai ye zameen (ye zameen)