logo

Baarish Hai Jaanam

logo
الكلمات
Koyi toh aisa hota jo

Shehar mein baadal le aata

Jo mere khwaabon jaisa ho

Ik aisa paagal le aata

Tumhari chhat pe dekho na

Main leke baadal aaya hoon

Jo tumpe hanske mar jaaye

Wahi main paagal aaya hoon

Bheegna hai mujhe aaj toh

Tumhare sang jee bhar ke

Yeh pehli baarish hai janam

Woh jiski chahat thi hardum

Badi mannat se aaya hai

Mohabbat wala yeh mausam

Yeh pehli baarish hai jaanam

Woh jiski chahat thi hardum

Badi mannat se aaya hai

Mohabbat wala yeh mausam

Badi dilkash badi naazuk si

Dekho raat aayi hai

Sulagti hai meri dhadkan

Yeh kya barsaat aayi hai

Yeh mausam bhi hai mauka bhi

Toh kyun hum bewajah tarse

Chalo na ek dooje pe

Zara hum toot ke barse

Bheegna hai mujhe aaj toh

Tumhare sang jee bhar ke

Yeh pehli baarish hai jaanam

Woh jiski chahat thi hardum

Badi mannat se aaya hai

Mohabbat wala yeh mausam

Yeh pehli baarish hai janam

Woh jiski chahat thi hardum

Badi mannat se aaya hai

Mohabbat wala yeh mausam

Tumhare saath ki baarish mein

Boondein muskurati hai

Jo na ho saath mein tere

Woh baarish dil jalati hai

Idhar tum ho jo baahon mein

Khuda se aur kya maangun

Har ik baarish tumhare saath guzre

Yeh dua maangun yeh dua maangun

Baarish Hai Jaanam لـ Payal Dev/Stebin Ben/Raj Shekhar - الكلمات والمقاطع