Yeh To Sach Hai Ki Bhagwan Hai
Hai Magar Phir Bhi Anjaan Hai
Yeh To Sach Hai Ki Bhagwan Hai
Hai Magar Phir Bhi Anjaan Hai
Dharti Pe Roop Maa Baap Ka
Us Vidhaata Ki Pehchaan Hai..
Yeh To Sach Hai Ki Bhagwan Hai
Janmdaata Hai Jo, Naam Jinse Mila
Thamkar Jinki Ungli Hai Bachpan Chala
Kaandhe Par Baithke, Jinke Dekha Jahaan
Gyan Jinse Mila, Kya Bura Kya Bhala
Itane Upkaar Hain Kya Kahen
Yeh Bataana Na Aasaan Hai
Dharti Pe Roop Maa Baap Ka
Us Vidhaata Ki Pehchaan Hai
Yeh To Sach Hai Ki Bhagwan Hai
Janm Deti Hai Jo... Maa Jise Jag Kahe
Apni Santaan Mein...Pran Jiske Rahe
Loriyan Hothon Par...Sapne Bunti Nazar
Neend Jo Vaar De...Haske Har Dukh Sahe,
Mamta Ke Roop Mein Hai Prabhu
Aapse Paaya Vardaan Hai,
Dharti Pe Roop Maa Baap Ka
Us Vidhaata Ki Pehchaan Hai
Yeh To Sach Hai Ki Bhagwan Hai
Aapke Khwab Hum...Aaj Hokar Jawaan
Us Param Shakti Se...
Karte Hain PRARTHNA,
Unki Chhaya Rahe....Rahti Duniya Talak
Ek Pal Rah Sake...Hum Na Jinke Bina,
Aap Dono Salaamat Rahe
Sabke Dil Mein Yeh Armaan Hai,
Dharti Pe Roop Maa Baap Ka
Us Vidhaata Ki Pehchaan Hai
Yeh To Sach Hai Ki Bhagwan Hai