Mujhse chheen kar khud ko ho tum gaye
Tera haath na ruka mere haath pe
Zaahir bhale nahin aankhon se gham hue
Par dil ke aur hi haalaat hain
Ki teri baahein thaam ke
Mera sukoon chala gaya
Socha toh yahi tha ki saath tere
Wafaaon ko milegi manzil
"Kyun haathon ki lakeeron si badalti raahein?"
Poochhte hain tere-mere dil
Dil ki saari arziyaan manzoor ho jaayein
Tum raho mere toh har gham door ho jaayein
Dil ki saari arziyaan manzoor ho jaayein
Tum raho mere toh har gham door ho jaayein
Na maine, na tumne socha, hoga aisa bhi
Jeena hoga humko aise juda hoke bhi
Manzilein mohabbat ki kyun phir humse bichhadne lagi
Teri-meri baatein itni bigadne lagi
Ki teri baahein thaam ke
Mera sukoon chala gaya
Tujhse yeh kehna chaahta hai
Tum bin hogi mushkil
Dil toh dua bhi yahi maangta hai
Ki phir se tu hi ho haasil
Dil ki saari arziyaan manzoor ho jaayein
Tum raho mere toh har gham door ho jaayein
Dil ki saari arziyaan manzoor ho jaayein
Tum raho mere toh har gham door ho jaayein