logo

Do Deewane Shaher Mein

logo
الكلمات
Hahahaha, deewaanaa

Ek deewaanaa shahar mein

Huh, ek deewaanaa nahin, ek deewaanii bhee

Hmm, hmm

Do diwane shahar main

Do deewaane shahar mein, raat mein ya dopaher mein

Aab-o-dana...

Aab-o-dana dhundte hain, ek ashiana dhundte hain

Do deewaane

In bhul-bhulaiya galiyon mein apana bhee koyi ghar hoga

Anbar pe khulegi khidkiyaan, khidki pe khulaa anbar hoga

Asamaani rang kee aankhon mein...

"asamaani" ya "aasamaani"?

Asamaani rang kee aankhon mein basane ka bahaana dhundte, dhundte hain

Aab-o-dana dhundte hain, ek ashiana dhundte hain

Do deewaane shahar mein, raat mein ya dopaher mein

Aab-o-dana dhundte hain, ek ashiana dhundte hain

Do deewaane

Jab taareephen zameen par...

Taareephen, aur zameen par!

Of course

Jab taareephen zameen par chalte hain

Akaash zameen ho jaataa hai

Us raat nahin fir ghar jaataa

Vo chaand yaheen so jaataa hai

Jab taareephen jameen par chalte hain

Akaash jameen ho jaataa hai

Us raat nahin fir ghar jaataa

Vo chaand yaheen so jaataa hai

Pal bhar ke liye

Pal bhar ke liye

Pal bhar ke liye in aankhon mein hum ek zamana dhundte hain, dhundte hain

Aab-o-dana dhundte hain, ek ashiana dhundte hain

Do deewaane shahar mein, raat mein ya dopaher mein

Aab-o-dana dhundte hain, ek ashiana dhundte hain

Do deewaane

Do deewaane

Do deewaane

Haan do deewaane

Do deewaane

Ho do deewaane

Do Deewane Shaher Mein لـ Runa Laila/Bhupinder Singh/Gulzar - الكلمات والمقاطع