
Zindagi Se Hai Gila
Ankhon ne pehne
Khwabon ke gehne
Palkon pe gham ke
Boojh uthaye
Khushiyon Ki rim jhim
Pyaar ke mausam
Ayen magar kiyon
Raas na aaye
Dard KO dil Ki
Teh main chupaye
Zindagi se hai gila
Phir bhi humain
Jeena tu hai..
Zindagi se hai gila
Phir bhi humain
Jeena tu hai..
Humne jo chaha
Woh hi na paaya
Dil se jo manga
Paa ke gawaya
Aadhey adhore
Sukh sapno ko
Apne hi hathon
Humne lutaya
Thak harain hain
Aas lagaye
Baarhan kiya shikwa
Phir bhi humain
Jeena tu hai
Zindagi se hai gila
Phir bhi humain
Jeena tu hai..