logo

Hue Bechain

logo
الكلمات
Hmmm hmmm hmmm

Hue bechain pehli baar

Humne raaz yeh jaana

Mohabbat mein koi aashiq

Kyun ban jata hai deewana

Agar iqraar ho jaaye

Kisi se pyaar ho jaaye

Bada mushkil hota hai dil ko samjhana

Hue bechain pehli baar

Humne raaz yeh jaana

Mohabbat mein koi aashiq

Kyun ban jata hai deewana

Tasavvur ke haseen lamhe

Tera ehsaas karte hai

Tera jab zikra aata hai

To milne ko tadapte hai

Humara haal na puchho

Ki duniya bhool baithe hai

Chale aao tumhare bin

Na marte hai na jeete hai

Suno achcha nahi hota

Kisi ko aise tadpana

Mohabbat mein koi aashiq

Kyun ban jata hai deewana

Agar yeh pyaar ho jaaye

Kisi pe dil jo aa jaaye

Bada mushkil hota hai dil ko samjhana

Hue bechain pehli baar

Humne raaz yeh jaana

Tu hi hai tu hai

Tu hi hai

Oooo

Phalak se poochh lo chahe

Gawah yeh chhand taarein hai

Na samjho ajnabee sadiyon se

Hum to bas tumhare hai

Mohabbat se nahi waaqif

Bahot anjaan lagti ho

Hume milna jaroori hai

Haqeeqat na samajhti ho

Hmmm

Koi kaise samajh paye

Kisi ke dil ka afsana

Mohabbat mein koi aashiq

Kyun ban jata hai deewana

Agar iqrar ho jaaye

Kisi se pyaar ho jaye

Bada mushkil hota hai dil ko samjhana

Hue bechain pehli baar

Humne raaz yeh jaana

Mohabbat mein koi aashiq

Kyun ban jata hai deewana

Hmmm hmmm hmmm

Hue Bechain لـ Yasser Desai - الكلمات والمقاطع