menu-iconlogo
logo

Qalam

logo
লিরিক্স
Yeah

Huh (Aye aye aye)

Yeah

Lafzon sy khelun jesy Khan khelay raag se

Married to the game game ka main Marley

Hum dono main farak hai tabhi rakhay faaslay

Hum baithay arsh pe aur tum neechy khans rahay

Ki hustle hai chotay ye mehnat ka phal mila kal nahi

Lekin main banda nadar bay qadar nahi

Jaani jab mushkil paray to nikaltay hal bhai

Chal bhai Lil Wayne wali feel lay

Meri class main tou beth thora seekh lay

Izzat kamai jaani shows kiye free main

Ye mera art lekin leta nahi fees bay

Sunun Pac ko repeat pe

Jo meray saath real chaar baari bees pe

Main betha chhay number fire karay weed ye

Saath wo jo laya Anjum ko beat pe

Air plane mood baitha K-2

Abhi J roll karay meray sath baithay phase 2

Bajay J. Cole hoi gun load

Do they control, meray bars phasay in ke earhole

Gujranwala se K-Town

Ash say hai bhara dashboard

Karo breakdown

Lafaz mery bhaari main likhari

Bary bary peechy choray hain khelari

Meray aagay saaray rap god lagtay hain anari

Kaano main hain qawali jaani subha ke hain chaar bajay

Detay thay jo gaali jaani wo bhi saalay haal poochain

Pait mera khaali lekin jaib main hain paanch pattay

Chor diye kaam jaani jin kay thay anjaam ganday

Maine kashti lagai hai kinare pe

Hip hop bajaya hay jaani akharay main

Hustle hi ki hai nai dhoonday saharay

Khuda pe bharosa ye khuda bhi jaanay

K-Town mujhay back karay

Bandi bolay smack karay

Kholay mainay qaidkhanay

Nahi in ko chain paray

Bana main to trendsetter

Follow mera trend karain

Urdu rap ka raggu

Pooray shehar pe hum raaj karain

Real saaray saath kharay

Galtiyo ko yaad rakhain

Gaanay mery sun sun

Hassad se ye kaanp uthay

Gunnah jaani lakh karay

Lekin jaani yaad rakh

Galtiyo se seekh ke hi aaj jaani yahan kharay

Qalam aur kagaz bhi ho rahay garam

Kamiyaabi ko dekh ke inhain hoti hai jalan

Ye jahil jo hip-hop main la rahay dharam

Bhai mehnat sy hota hai khuda ka karam

Main laga raha jaani chori nahi hustle

Ab jo bhi main karun sab krtay hain pasand

Kal izzat ki bhook aaj us hi ka bharam

Ab hip-hop ke zakhmon pe rakhun main marham

Qalam aur kagaz bhi ho rahay garam

Kamiyaabi ko dekh ke inhain hoti hai jalan

Ye jahil jo hip-hop main la rahay dharam

Bhai mehnat sy hota hai khuda ka karam

Main laga raha jaani chori nahi hustle

Ab jo bhi main karun sab krtay hain pasand

Kal izzat ki bhook aaj us hi ka bharam

Ab hip-hop ke zakhmon pe rakhun main marham

(Music)

Main kalla ka gawah banun

Main logon ka bhalla karun

Har ghalti ko mana karun

Har zakham ki dawa banun

Sab chahtay main Talhah banun

Bheer main bhi tanha rahun

Khud ka main sagga rahun

Ghar ka main bara banun

Kar meri qaza qubool

Shukar ada karun

Kia ye khata qubool

Jungain fatah karun

Apni raza se dur

Kia mai fazaaa par hun?

Piye saza ke ghoont

Main is jagah par kyun?

Sar phire, hum tou dunya se lar parain

Kholay humne sar baray, jab bhi lagay garbar hai

Sar charhain, ye kamatay mere bal par hain

Urdu Rap ki pehchaan nahi hum jarr banain

Bill bharain, zimmedari lain, woh fard banain

Sun yehi lafz mere par banay

Un ke rokne se pehle hum chal paray

Shayari mai dard bharain, ghar ke ham mard banain

Baap mera bola beta raaton ko na jaag tu

Pooray kiye khuaab sochun daray mujhse khuaab kyun

Saari saari raat rehta hai tu ghar se baahir kyun?

Bachi na koi aarzu, tou charhay mujhay khaar kyun?

Kaghaz ko main aag dun, chahun tou tujhe gaarh dun

Par kaisay apne andar ke is artist ko main maardun

Ilm apna baant du, har girrtay ko main hath dun

Bhonktay ab sath kiyun ye kuttay meray paltu?

Mera flow jese Buggati beta bhaagta reh

Gaanay phenkne wala mai zamana poora jaagta reh

Chahte wo bhulaaana hum ko, dil se dil ka raabta ye

Ghumen humein ameeron mai, nahi dikhe unhay daagh mere

Karachi chaati pe, jani mai Alamgir bhi

Chal rahay wo taachi pe, main raja bhi main wazeer bhi

Deta inhe dheel bhi main deta inhe deals bhi

Duur se hi jaanch len, ye ankhain jaise cheel ki

Qalam aur kagaz bhi ho rahay garam

Kamiyaabi ko dekh ke inhain hoti hai jalan

Ye jahil jo hip-hop main la rahay dharam

Bhai mehnat sy hota hai khuda ka karam

Main laga raha jaani chori nahi hustle

Ab jo bhi main karun sab krtay hain pasand

Kal izzat ki bhook aaj us hi ka bharam

Ab hip-hop ke zakhmon pe rakhun main marham

Qalam aur kagaz bhi ho rahay garam

Kamiyaabi ko dekh ke inhain hoti hai jalan

Ye jahil jo hip-hop main la rahay dharam

Bhai mehnat sy hota hai khuda ka karam

Main laga raha jaani chori nahi hustle

Ab jo bhi main karun sab krtay hain pasand

Kal izzat ki bhook aaj us hi ka bharam

Ab hip-hop ke zakhmon pe rakhun main marham

Ahsan/TALHAH YUNUS-এর Qalam - লিরিক্স এবং কভার