Main aur meri tanhaai
Aksar yeh baatein karte hain
Tum hoti to kaisa hota
Tum yeh kehti, tum woh kehti
Tum is baat pe hairaan hoti,
tum us baat pe kitni hansti
Tum hoti to aisa hota,
tum hoti to vaisa hota
Main aur meri tanhaai aksar
yeh baatein karte hain
Yeh kahan aa gaye hum
Yunhi saath saath chalte
Teri baahon mein hai jaanam
Mere jism o jaan pighalte
Teri baahon mein hai jaanam
Mere jism o jaan pighalte
Yeh kahan aa gaye hum
Yunhi saath saath chalte
Yeh raat hai, ya tumhaari zulfain
khuli hui hai
Hai chaandni ya tumhaari nazron se
meri raatein dhuli hui hai
Yeh chaand hai ya tumhaara kangan
Sitaarein hai ya tumhaara aanchal
Hawa ka jhonka hai ya tumhare
badan ki khushboo
Yeh pattiyon ki hai sarsaraahat
ke tumne chupke se kuch kaha hai
Ye sochta hoon main kab se gumsum
Ke jab ki mujhko bhi ye khabar hai
Ke tum nahin ho, kahin nahin ho
Magar yeh dil hai ke keh raha hai
Ke tum yahin ho, yahin kahin ho
Oooo,tu badan hai main hoon chhaaya
Tu na ho to main kahan hoon
Mujhe pyaar karne waale
Tu jahan hai main vahan hoon
Hamein milna hi tha hamdam
kisi raah bhi nikalte
Hamein milna hi tha hamdam
kisi raah bhi nikalte
Yeh kahan aa gaye hum
Yunhi saath saath chalte
ummmmm, meri saans saans maheke
Koi bheena bheena chandan
Tera pyaar chaandni hai
Mera dil hai jaise aangan
hui aur bhi mulaayam
Meri shaam dhalte dhalte
Ooo hoi our bhi mulaayam
meri raat dhalte dhalte
Yeh kahan aa gaye hum
Yunhi saath saath chalte
Majboor yeh haalaat,
idhar bhi hai udhar bhi
Tanhaai ki ek raat,
idhar bhi hai udhar bhi
Kehne ko bahut kuch hai mager
kisse kahein hum
Kab tak yunhi khaamosh rahe
aur sahe hum
Dil kehta hai duniya ki
har ek rasam meeta dein
Deevaar jo hum dono
mein hai, aaj gira dein
Kyoon dil mein sulagte rahain
logon ko bata dein
Haan humko mohabbat hai,
mohabbat hai, mohabbat hai
Ab dil mein yehi baat,
idhar bhi hai udhar bhi
Yeh kahan aa gaye hum
Yunhi saath saath chalte
Yeh kahan aa gaye hum
Yeh kahann aa gaye hum