Yeh dil tum bin kahin lagta nahin
Hum kya karein..
Tasavvur mein koi basta nahin
Hum kya karein
Tumhi keh do ab aye jaan-e-wafa
Hum kya karein
Lute dil mein diya jalta nahin
Hum kya karein
Tumhi keh do ab aye jaane-adaa
Hum kya karein
Yeh dil tum bin kahin lagta nahin
Hum kya karein
Kisi ke dil mein bas ke
Dil ko tadpana nahin achchha
Nigahon ko jhalak de de ke
Chhup jana nahin achchha
Ummeedon ke khile gulshan ko
Jhulsana nahin achchha
Hamein tum bin koi janchta nahin
Hum kya karein
Tumhi keh do ab aye jaane-adaa
Hum kya karein
Yeh dil tum bin kahin lagta nahin
Hum kya karein....
Bujha do aag dil ki..Ya..
Ise khul kar hawa de do
Jo iska mol de paaye
Use apni wafa de do
Tumhare dil mein kya hai bas
Hamein itna pata de do
Ke ab tanha safar kat-ta nahin
Hum kya karein
Tumhi keh do ab aye jaane-adaa
Hum kya karein
Yeh dil tum bin kahin lagta nahin
Hum kya karein