Kal raaste mein gham mil gaya tha 
Lag ke gale main ro diya 
Jo sirf mera tha sirf mera 
Maine usey kyun kho diya 
Haan woh aankhein jinhe main 
Choomta tha bewajah 
Pyaar mere liye kyun 
Un mein baaqi na raha 
Ho 
Humnava mere 
Tu hai to meri saansein chale 
Bata de kaise main jiyunga 
Tere bina 
Ho humnava mere 
Tu hai to meri saansein chale 
Bata de kaise main jiyunga 
Tere bina 
Har waqt dil ko jo sataaye 
Aisi kami hai tu 
Main bhi na jaanu ye 
Ki itna kyun laazmi hai tu 
Neendein jaake na lauti 
Kitni raatein dhal gayi 
Itne taare giney ki 
Ungliyaan bhi jal gayi 
Ho 
Humnava mere 
Tu hai to meri saansein chale 
Bata de kaise main jiyunga 
Tere bina 
Ho humnava mere 
Tu hai to meri saansein chale 
Bata de kaise main jiyunga 
Tere bina 
Tu aakhri aansu o yaara 
Hai aakhri tu gham 
Dil ab kahaan hai jo dobara 
De dein kisi ko hum 
Apni shaamon mein hissa 
Phir kisi ko na diya 
Ishq tere bina bhi 
Maine tujhse hi kiya 
O 
Humnava mere tu hai to meri saansein chale 
Bata de kaise main jiyunga tere bina 
Ho 
Faasle na de ki main hu aasre tere 
Bata de kaise main jiyunga tere bina 
Aazma raha mujhe kyun 
Aa bhi ja kahin se ab tu 
Kaise main jiyunga tere bina 
Seene mein jo dhadkane hain 
Tere naam pe chale hain 
Kaise main jiyunga tere bina 
Humnava mere tu hai to 
Meri saansein chale 
Bata de kaise main jiyunga tere bina