Kyun raaton ko neend na aaye bata
Kyun hasta hai mujhpe tu karte khata
Kyun dikhta nahi dil ko koi bhi tere siva
Mein jaanoon na
Kyun mera hai jo bhi woh tera hua
Kyun hasta tujhe dekhke Mann mera
Kyun in dhadhkanon mein basa hai tu hi har dafa
Mein jaanoon na
Tu mera mein tera kyun hone laga
Hone laga yeh bata
Hui na khabar kab yeh kaise hua
Kaise hua yeh bata
Tu mera mein tera kyun hone laga
Hone laga yeh bata
Raaz saare mere
Bin kuch kahe tune jaan liye
Kisse tere mere
Hain kuch ajabse na honge sune
Mujhse behtar mujhe
Koi jo jaane woh tu hi toh hai
Dil ki raahein jahan
Jaayein woh manzil bhi tu hi toh hai
Kyun chahat meri ka hai tu silsila
Kyun phir se jo dhoonda to tu hi mila
Mein jaaon toh jaaoon kahan ab yeh tu hi bata
Mein jaanoon na
Kyun thamne laga hai yeh saara sama
Jo pass tu aaye mere is tarah
Kyun rangon mein shamil tere bas teri dastaan, tu jaane na
Tu mera mein tera kyun hone laga
Hone laga yeh bata
Hui na khabar kab yeh kaise hua
Kaise hua yeh bata
Tu mera mein tera kyun hone laga
Hone laga yeh bata