vande mataram_4
Pulwama main veero ne jo desh pe
jaan waari hai..
dushman ki oqaat nhi ye apno
ki gaddari hai..
dushman ki oqaat nhi ye apno
ki gaddari hai..
dushman ghar main baithe hai
tum koste raho padosi ko,,
Jo chhuri bagal main rakhte hai
tum maar do na us doshi ko..
Jo chhuri bagal main rakhte hai
tum maar do na us doshi ko..
is dhokhe ke humle main jo
apno ka kaam nhi hota..
pulwama main un veero ka ye
anjaam nhi hota..
pulwama main un veero ka ye
anjaam nhi hota..
apno ki gaddari ka jo hota
isme roop nahi..
kaise pata chala dushman ko.
ye gaadi bulet proof nhi..
kaise pata chala dushman ko.
ye gaadi bulet proof nhi..
un veero ko gaddari ka
agr ehsaas zara hota..
pulwama main ek bhi sanik na
lachar mara hota..
pulwama main ek bhi sanik na
lachar mara hota..
kon hai jaychand apne desh
main kab ehsaas tumhe hota..
ye desh khatm ho jaayega
kya tab aabhas tumhe hoga..
ye desh khatm ho jaayega
kya tab aabhas tumhe hoga..
kya garib maa baapo ne
raksha ka bida thaya hai,,
ek bhi neta ka beta kyu shahid
ho paya hai..
ek bhi neta ka beta kyu shahid
ho paya hai..
jo shahid ke ghar pe likhte ho
mahsus karo us patthar ko..
agr zara dum rakhte ho
tum tod do dhaara 70 ko..
agr zara dum rakhte ho
tum tod do dhaara 70 ko..
kabhi dikhao hume tumhara
kitna bada kaleja hai..
kabhi milo us baap se jisne
foj main beta bheja hai..
kabhi milo us baap se jisne
foj main beta bheja hai..
goli gaali samadhan nhi to
kya h kuch batlaao tum''
behroopiye neta ji kabhi
asli roop dikhaao tum..
behroopiye neta ji kabhi
asli roop dikhaao tum..
jab desh main maatm pasra hai
tum wafa nibhane jaate ho..
kya kashmir unhe dede,
tum jinki daawat khaate ho..
kya kashmir unhe dede,
tum jinki daawat khaate ho..
aazad sing aazad nhi aazadi
ka dum bharta hai..
ye bebas dil ro padta hai jab
desh ka beta marta hai,,
ye bebas dil ro padta hai jab
desh ka beta marta hai,,
vande mataram_4