main, aur meri tanhaai
aksar yeh baatein karte hain
tum hoti to kaisa hota
Tum yeh kehti
Tum voh kehti
tum is baat pe hairaan hoti
tum us baat pe kitni hansti
tum hoti, to aisa hota
tum hoti, to waisa hota
Main, aur meri tanhaai
Aksar yeh baatein karte hain
yeh kahaaaaaaaaaan
aa gaye hum
yunhi saath saath chalte
teri baahon mein hai, jaanam
Mere jism o jaan pighalte
teri baahon mein hai jaanam
mere jism o jaan pighalte
yeh kahaaaaaaaaaan
aa gaye hum
yunhi saath saath chalte
Hoooo tu badan hai
Main hoon chhaaya
Tu na hoo
to main kahan hoon
mujhe pyaar karne waali
tu jahaan hai main wahaan hoon
hamein milna hi tha hamdam
kissi raah bhi nikalte
hamein milna hi tha hamdam
Kissi raah bhi nikalte
yeh kahaaaaaaaaaan
aa gaye hum
yunhi saath saath chalte