Main aur meri tanhai
Aksar yeh baatein karte hain
Tum hoti to kaisa hota
Tum yeh kehti, tum woh kehti
Tum is baat pe hairan hoti
Tum us baat pe kitni hansti
Tum hoti to aisa hota,
Tum hoti to waisa hota
Main aur meri tanhai
Aksar yeh baatein karte hain
Yeh kahan aa gaye hum
Yoon hi sath sath chalte
Teri baahon mein hai jaanam
Mere jism o jaan pighalte
O teri baahon mein hai jaanam
Mre jism o jaan pighalte
Yeh kahan aa gaye hum
Yoon hi sath sath chalte
Yeh raat hai ya tumhari
Zulfein khuli huyi hain
Hai chandni ya tumhari nazron se
Meri raatein dhuli huyi hain
Yeh chaand hai ya tumhara kangan
Sitare hain ya tumhara aanchal
Hawa ka jhonka hai ya
Tumhare badan ki khushbu
Yeh pattiyon ki hai sarsarahat
Ke tumne chupke se kuchh kaha hai
Yeh sochta hoon main kabse gumsum
Ki jabki mujhko bhi yeh khabar hai
Ki tum nahin ho, kahin nahin ho
Magar yeh dil hai ki keh raha hai
Tum yahin ho, yahin kahin ho
Oooo tu badan hai main hoon chhaya
Tu na ho to main kahan hoon
Mujhe pyar karne wale
Tu jahan hai main wahan hoon
Humein milna hi tha humdam
Kisi raah bhi nikalte
Humein milna hi tha humdam
Kisi raah bhi nikalte
Yeh kahan aa gaye hum
Yoon hi sath sath chalte
Meri saans saans mehke
Koyi bheena bheena chandan
Tera pyar chandni hai
Mera dil hai jaise aangan
Huyi aur bhi mulayam
Meri shaam dhalte dhalte
Ooo huyi aur bhi mulayam
Meri shaam dhalte dhalte
Yeh kahan aa gaye hum
Yoon hi sath sath chalte
Majboor yeh halaat idhar
Bhi hai, udhar bhi
Tanhai ke ek raat idhar
Bhi hai, udhar bhi
Kahne ko bahut kuchh hai
Magar kis se kahein hum
Kab tak yoon hi khamosh
Rahein aur sahein hum
Dil kehta hai duniya ki
Har ek rasm utha dein
Deewar jo hum dono
Mein hai aaj gira dein
Kyon dil mein sulagte
Rahein logon ko bata dein
Haan humko mohabbat hai,
Mohabbat hai, mohabbat hai
Ab dil mein yehi baat
Idhar bhi hai, udhar bhi
Yeh kahan aa gaye hum
Yoon hi sath sath chalte
Yeh kahan aa gaye hum