Ari o shokh
Kaliyon muskuraa dena
Wo jab aaye
Ari o shokh
Kaliyon muskuraa dena
Wo jab aaye
Suno phoolon
Mehak apni loota dena
Wo jab aaye
Wo jab aaye
Adab se daaliyaan
Phoolon ki jhuk jaayen
Wo jab aaye
Adab se daaliyaan
Phoolon ki jhuk jaayen
Wo jab guzre
Chaman mein kaafile bhanwaron
Ke ruk jaayen
Bahaaron tum
Gale usko lagaa lenaa
Wo jab aaye
Ari o shokh
Kaliyon muskuraa dena
Wo jab aaye
Bahot taarif karti hain
Ye kaliyaan baar baar uski
Bahot taarif karti hain
Ye kaliyaan baar baar uski
Tamnna hai ke main bhi
Dekh loon rangeen bahaar uski
Hawaaon tum
Naqaab uski utha dena
Wo jab aaye
Ari o shokh
Kaliyon muskuraa dena
Wo jab aaye
Bagair uski mohabbat ke
Main zinda reh naa paaunga
Bagair uski mohabbat ke
Main zinda reh naa paaunga
Magar ye baat dil ki
Main kisi se keh naa paaunga
Nighaahon haal e dil
Usko sunaa dena
Wo jab aaye
Ari o shokh
Kaliyon muskuraa dena
Wo jab aaye
Suno phoolon
Mehak apni loota dena
Wo jab aaye