malek zaman
La la la la la, La la la la la la la la
Hummmm
Mujhe duniya walo, sharaabi na samjho
Main peeta nahin hoon pilayi gayi hai
Jahan bekhudi mein kadam ladkhadaye
Wohi raah mujhko dikhayi gay hai
Nashe mein hoon lekin
mujhe ye khabar hai
Ke is zindagi mein, sab hi pee rahe hain
Kisi ko mile hain, chalakte pyale
Kisi ko nazar se, pilayi gayi hai
Mujhe duniya walo, sharaabi na samjho
Main peeta nahi hoon pilayi gayi hai
Kisi ko nasha hai, jahan mein khushi ka
Kisi ko nasha hai, ghum e zindagi ka
Koi pee raha hai, lahu aadmi ka
Har ek dil mein masti, rachai gayi hai
Mujhe duniya walo, sharaabi na samjho
Main peeta nahi hoon, pilayi gayi hai
Zamane ke yaaro, chalan hain nirale
Yahan tan hain ujale, magar dil hai kale
Yeh duniya hain duniya,
yahan maal o zarr mein
Dilon ki kharabi, chupai gayi hai
Mujhe duniya walo, sharaabi na samjho
Main peeta nahi hoon pilayi gayi hai
Jahan bekhudi mein kadam ladkhadaye
Wohi raah mujhko dikhayi gayi hai