menu-iconlogo
huatong
huatong
লিরিক্স
রেকর্ডিং
Fasl-e-gul hai sharaab pii leejiye

Zid na keejiye janaab pii leejiye

Fasl-e-gul hai sharaab pii leejiye

Zid na keejiye janaab pii leejiye

Fasl-e-gul hai sharaab pii leejiye

Zid na keejiye janaab pii leejiye

MaikashoN mujh tak ye ghanghor ghatayeN aayiiN

Tum pe rahmat hu'ii, taubaa pe balaayeN aayiiN

MaikashoN mujh tak ye ghanghor ghatayeN aayiiN

Tum pe rahmat hu'ii, taubaa pe balaayeN aayiiN

Fasl-e-gul hai sharaab pii leejiye

Zid na keejiye janaab pii leejiye

Pii leejiye

Jhuumtii Qiblaa se ghanghor ghataayeN aayiiN haiN

Sharaab to pii leejiye

Sheikh jii thoRii sii pii lo aaj to

Kaun dekhegaa andherii raat hai

Muskuraao bahaar ke din haiN

Gul khilao bahaar ke din haiN

Mai nahiiN to ashq-e-gham hi sahi

Pii bhi jaao bahaar ke din haiN

Jaa ke dil sad baaraa sii lo

Kuch der to beKhudii meN jii lo

KyuuN hazrat-e-zaahid hai tahammul itnaa

MaiKhane kii Khairaat hai pii lo

Aage chal kar hisaab honaa hai

Is liye be-hisaab pii leejiye

Do-do qatre haiN jaam ke andar

Kar ke zer-e-niqaab pii leejiye

Fasl-e-gul hai sharaab pii leejiye

Zid na keejiye janaab pii leejiye

Jo piye chhup ke vo munaafiq hai

Be-takalluf sharaab pii leejiye

Dil kaa shiisha hai aur Khuluus ki mai

Ab to aalii-janaab pii leejiye

Jaavidaanii suruur aayegaa

Aasmaanii gulaab pii leejiye

Aap aur itnii zid "Adam" saahab

Harj kyaa hai sharaab pii leejiye

Nusrat Fateh Ali Khan/A1Melodymaster থেকে আরও

সব দেখুনlogo

আপনার পছন্দ হতে পারে