M Dekho maine dekha hai yeh ek sapna
Phoolon ke shehar mein hai ghar apna
Kya sama hai tu kahan hai
F Main aayi aayi aayi aayi
M aaja ...
F Kitna haseen hai yeh ek sapna
Phoolon ke shehar mein hai ghar apna
Kya sama hai tu kahan hai
M Main aaya aaya aaya aaya
F aaja ...
M Yahan tera mera naam likha hai
F Rasta nahin yeh aam likha hai
M O Yeh hai darwaaza
jahan tu khadi hai
F Andar aajao sardi badi hai
M Yahan se nazaara dekho parvaton ka
F Jhanku main kahanse
kahan hai jharokha
M Yeh yahan hai tu kahan hai
F Main aayi aayi aayi aayi
M aaja ...
F Kitna haseen hai yeh ek sapna
Phoolon ke shehar mein hai ghar apna
Kya sama hai tu kahan hai
M Main aaya aaya aaya aaya
F aaja ...
F Achha yeh batao kahan pe hai paani
M Bahar beh raha hai jharna deewani
F Bijli nahin hai yahi ek gham hai
M Teri bindiya kya bijli se kam hai
F Chodho mat chhedo baazar jaao
M Jaata hoon jaoonga pehle yahan aao
Shaam jawaan hai tu kahan hai
F Main aayi aayi aayi aayi
M aaja ...
M Dekho maine dekha hai yeh ek sapna
Phoolon ke shehar mein hai ghar apna
Kya sama hai tu kahan hai
F Main aayi aayi aayi aayi
M aaja ...
F Kaisi pyaari hai yeh chhotisi rasoi
M Ho,Hum dono hain bas dooja nahin koi
F Is kamre mein hongi meethi baaten
M Us kamre mein guzrengi raaten
F Yeh to bolo hogi kahan pe ladaai
M Maine woh jagayi nahin yi banai
Pyar yahan hai tu kahan hai
F Main aayi aayi aayi aayi
M aaja ...
M Dekho maine
dekha hai yeh ek sapna
Phoolon ke shehar mein hai ghar apna
Kya sama hai tu kahan hai
F Main aayi aayi aayi aayi
M aaja ...
F Kitna haseen hai yeh ek sapna
M Phoolon ke shehar mein hai ghar apna
F Kya sama hai
M Tu kahan hai
F Main aayi aayi aayi aayi
M aaja ...
F Main aayi aayi aayi aayi
M aaja ...
F Main aayi aayi aayi aayi
M aaja ...