menu-iconlogo
huatong
huatong
লিরিক্স
রেকর্ডিং
Baaton mein

Aise uljhaaye, uljhaaye

Kuch honthon se

Kuch aankhon se keh jaaye

Kho, kho jaayein, aa, hum donon

Ho, ho jaaye, jo hona hai ho

Aaja, aaja, aa

Aaja, aaja

Aaja, aaja, aa

Aaja, aaja

Teri zulfon ne tera chehra chhupaya

Aur mujhe bas uss lamhe ko thaamna

Qaaboo mein tere meri har ek saans

Jab tak hai yeh pal, poori karoon teri kaamna

Kaanon pe tere jhumke yeh dolte

Jaise morni ki chaal, mere dil pe hai zor nahin

Tu bol de jo na kare sarhadein paar

Jo tu palkein jhuka de zara

Murjhaati muskaanon ko rang deti

Tere saath har baat lage ghar jaisi

Sundar lage tu der shaam ki gulaabi ambar

Na jaane kya kar baithi, aisa jaadu jo dikhta nahin

Dil mera phisla, aur girta raha teri baahon mein

Aake tu bhar le mujhe apne seene mein

Dheere se kandhe pe sar rakh ke

Kaanon mein ga de tu

Aaja (aaja), aaja (aaja)

Aa (aa), aaja

Aankhein meri soyi nahin

Jab se tum ho mile

Raatein hain guzaari kayi

Bas yeh palkein liye

Kya galat-sahi yeh main jaanoon nahin

Tu jo yahaan hai, tu jo yahaan hai

Jaana na tu kahin, reh jaana tu yahin

Paas aao na, paas aa na

Aaja (baahon mein meri tu aaja)

Aaja (meri panaahon mein aaja)

Aa (aaja na, jaanaan, tu aaja)

Aaja, aaja

Aaja (baahon mein meri tu aaja)

Aaja (meri panaahon mein aaja)

Aa (aaja na, jaanaan, tu aaja)

Aaja, aaja

Shreya Jain/Gravity/Dropped Out/The Rish থেকে আরও

সব দেখুনlogo

আপনার পছন্দ হতে পারে