Sare Nabiyon ke Ohade bade hein
Lekin Aaqa ka Mansab judaa hai
Wo Imaame Safe Ambiyaa hai
Unka rutba badon se badaa hai
Koi Lafzon mein Kaise bataade
Unke Rutbe ki Had hai to kya hai
Hamne Apne badon se suna hai
Sirf Allah Unse badaa hai
Sare Nabiyon ke Ohade bade hein
Lekin Aaqa ka Mansab judaa hai
Naam Jannat ka Tumne sunaa hai
Meine Uska Nazaara kiya hai
Mein yahan se Tumhein kya batadun
Unki Nagri ki Galiyon mein kya hai
Sare Nabiyon ke Ohade bade hein
Lekin Aaqa ka Mansab judaa hai
Yetna pyaara hai mousam waha ka
Yetni pul kaif saari fasa hai
Tum mere saat khud chal ke dekho
Garde karba bi khaki shifa hai
Sare Nabiyon ke Ohade bade hein
Lekin Aaqa ka Mansab judaa hai
Wo Jo Ek Shehare Noorul Hudaa hai
Jalwaagahon ka Ek Silsilaa hai
Jiski Har Sub-ha Shams-udduha hai
Jiski Har Shaam Badrudduja hai
Sare Nabiyon ke Ohade bade hein
Lekin Aaqa ka Mansab judaa hai
Mustaqeel Unki chokhat ataa ho
Mere Mahboob Ye Iltijaa hai
Koi puchhe to Ye keh sakun Mein
Baabe Jibreel Mera pataa hai
Sare Nabiyon ke Ohade bade hein
Lekin Aaqa ka Mansab judaa hai
Ya rasoolullah yaa habiballah