menu-iconlogo
huatong
huatong
লিরিক্স
রেকর্ডিং
Khushfehmiyan hain, khud se bani hain

Kuch kami hai toh (kuch kami hai toh)

Main bhi yahaan hoon, woh bhi yahin hai

Kya woh nahi hai jo? (woh nahi hai jo)

Kya woh teri-meri be-takallufi?

Ya woh duniya mein sabse sar-kashi

Tu pariyon si kaisi nazneen

Ki dil ne zehan ki na suni

Khuda ne yeh hawayehin tere sang kardi

Tu woh jo be-rang ko bhi rang karti

Tu woh jo mujhe haasil hi nahi

Main karoon tujhe kaise yeh bayaan?

Meri jaan, meri jaan, tu na jaa

Abhi karz hai tujhpe woh waada

Meri jaan, mujhe kya hi pata tha

Rang badle yeh kaise aasmaan

Meri jaan, meri jaan, yoon na jaa

Badlo na tum apna iraada

Meri jaan, mujhe kya hi pata tha

Rang badle yeh kaise aasmaan

Meri saari umar mein tu hi hai kami, baaki sab hai mayassar

Tera na aana mujhe maar dega, tanhaiyon mein dil mera rukta hai aksar

Bikhra hai dil ka yeh daftar, koyi nhi ghar par, jaaunga kidhar tak?

Aadatein nahi chhoot'ti, roz wahin, jahaan se shuru kiya sifar se sifar tak

Duniya mile kaam se bas (mm-mm)

Duniya mere kaam ki nahi (mm-mm)

Main suraj sе mukhatib hoke shaam se baitha hoon

Ye humara pеhla jaam to nahi (jaam to nahi)

Sabar ka imtehaan na le, tu mere sabar ka inaam to nahi

Tu mujhse kuchh chhupa bhi le

Tu mujhe kuchh bata hi nahi

Ab teri marzi, mujhpe kuch tu kar ayaan hi nahi (no, no)

Meri jaan, meri jaan, yoon na jaa

Abhi karz hai tujhpe woh waada

Meri jaan, mujhe kya hi pata tha

Rang badle yeh kaise aasmaan

Meri jaan, meri jaan, yoon na jaa

Badlo na tum apna iraada

Meri jaan, mujhe kya hi pata tha

Rang badle yeh kaise aasmaan

Talha Anjum/Umair থেকে আরও

সব দেখুনlogo

আপনার পছন্দ হতে পারে