Tum jo ho toh yeh lagta hai (ho toh yeh lagta hai)
Kya hai duniya yeh tere bin (duniya yeh tere bin)
Dekhenge tumko jee-bhar ke (tumko jee-bhar ke)
Aana fursat se phir ek din (fursat se phir ek din)
Phir ek din, phir ek pal
Phir tujhko mehsoos kar lunga main
Phir tujhko seene se laga kar ke
Seene mein bhar lunga main
Phir teri zulfon mein
Phir meri ungliyan pherun zara
Pal-bhar ko phir tujhe
Apna toh kar lunga main
Maine raatein guzaari tere ishq mein saari
Kuch sard guzaari, kuch dard ki maari
Deedaar tera mile toh so jaaun
Kal saaf the dil ke, aaj hain kaale
Koi tujh sa kahan hai jo humko sambhaale
Baahon mein bhar le mujhe ke ro paaun
Yeh naraazgi hai kis baat ki?
Hai kya dil mein woh jo kehte nahi?
Zara si nazar ghuma lo idhar
Itne bhi bure hain hum toh nahi
Ek aag lagi hai seene mein
Aur tu barsaat ka paani hai
Thoda bheegun tujh mein toh phir sambhal paaun
Tere neel nayan ki kashti mein
Ab saari umar bitani hai
Phir doobun ya chahe main tar jaaun