Kabhi to tum ko yaad aayin gay
Wo baharain wo sama
Jhuke jhuke badalon ke neeche
Mile thay hum tum jahan jahan
Kabhi to tum ko yaad aain gay
Tum se bichhre saddiyan beetin
Phir bhi humain yaad aatay ho
Saya banke aahat banke
aaj bhi tum tarpate ho
Zindagi kitni bezar hai
Tumne abhi to mujhse kaha tha
Tumse piar hai
Kahan kahi wo piar ki qasmain
Piar ka wada kia howa
Kabhi to tum ko yaad aain gay
Jitna tumko apna samjha
Utne hi tum begane thay
Humne kia kia aas lagai
Hum kitne diwane thay
Zindagi kitni bezar hai
Tumne abhi to mujhse kaha tha
Tumse piar hai
Kahan gain wo piar ki qasmain
Piar ka wada kia howa
Bewafa Bewafa
Kabhi to tum ko yaad aayin gay
Wo baharain wo sama
Kabhi to tum ko yaad aayin gay