Agar main kahoon mujhe tumse mohabbat hai 
Meri bas yahi chahat hai to kya kahogi 
Agar main kahoon mujhe tumse mohabbat hai 
Meri bas yahi chahat hai to kya kahogi 
Main tumse kahongi 
Is baat ko agar tum zara aur saja ke kahte 
Zara ghuma phira ke kahte to achcha hota 
Agar main kahoon 
Tumko jab dekhoon lagti ho jaise nayee 
Honth hain pankhadi phool ki 
Aankhein jaise jugnu chamkte huey 
Soche mera ye dil dhadakte huey 
Agar main kahoon 
Agar main kahoon ye jo chehra hai 
Jaise koi chaand hai to kya kahogi 
Main tumse kahongi 
Mujhko bhoole se bhi chaand tum na kaho 
Chand mein to kayee daag hain 
Mujhe phool na kahna vo murjhate hain 
Jugnu bhi na kahna vo kho jaate hain 
Ye baatein purani hain jo mujhko sunani hain 
Kisi aur adaa se kahte 
Zaraa ghuma phira ke kahte to achchha hota 
Agar main kahoon mujhe tumse mohabbat hai 
Meri bas yahi chahat hai to kya kahogi 
Agar main kahoon baatein sunke tumhari main hairan hoon 
Jo bhi kahna hai kaise kahoon 
Lagta tumhein kuchh bhi achchha nahin 
Sach ko bhi kahti ho sachcha nahin 
Agar main kahoon 
Agar main kahoon tumhein pata nahin hai kyun 
Hai pyaar mujhe bhi tumse to kya kahoge 
Main tumse kahonga 
Mere dil ka hai ye kahna hamko hai saath mein rahna 
Ye donon ke dil mein hai na to phir kyun kahna 
Agar main kahoon 
To main tumse kahoongi