menu-iconlogo
huatong
huatong
aur-shikayat-cover-image

Shikayat

Aurhuatong
naturehrlmhuatong
Liedtext
Aufnahmen
Zakhm dil pe hain dawa karo

Aao milke rasmein mohabbat ada karo

Kuch na kar sako mere liye

To bas khwabon mein hi mujhse mil liya karo

Aa milo kahin mujhse

Ke umeed kuch baki hai meri

Tumse na jane hasrat hi rahi ho

Tum meri

Ke shayad ye din aakhiri ho

Hum khwahish mein mar jaye

Aa milo kahin mujhse

Ke umeedein kuch baki hai meri tumse

Le chalo wahan mujhe

Main dekhta hoon aasman mein bhi ab tujhe

Dekha ek roz taara toot ke gaya

Maangi bhi duayein par haan tu nahi mila

Wo aaya hi nahi jo ik dafa gaya

Wo door itna ho gaya main dekh na saka

Hai dhoondta wajah ab dil ye bewajah

Hai toota is tarah se dil ke fir nahi laga

Toh aa milo kahin o mere humnashi

Main ab bhi hoon akela

Ye tu samjha kyu nahi

Wajood dillagi ki aarzu nahi

Mohabbat to wahi hai jo ki milti hi nahi

Mohabbaton mein jhoom lu

Main kya karun bata

Main muktala hu gam mеin

Ya main gam ki hoon dawa

Main baddua hoon ya dua hoon

Ya mai hoon saza

Ab tu bata ke main hoon

Ya fir tu hai laapata tu bata

Laapata ho gaye hamare liyе tum

Itna chaaha ke tum bewafa ho gaye

Jana bhoolna tha tumhe khuda ki kasam

Hath jab bhi uthe tum dhuan ho gaye

Honthon pe duaa hai

Waqt tham nahi raha

Tu na mil saka

Tu bas mein hi raha

Duniya ki mohabbaton ne sab badal diya

Tera gam ajeeb hai wo wahin ka wahin raha

Bhulna main chah raha tha tujhko is tarah

Na teri jagah koi ho na ho tu wahan

Ab teri talaash mein pata chala mujhe

Tumse hi shuru hai raat tumse hi subeh

Tu mil gayi to jaan milegi zindagi mujhe

Jo tu nahi to chahiye kuch nahi mujhe

Khwab tu hai saans tu hi raat tu subeh

Kaat dunga zindagi main dekh ke tujhe

Dekh le mujhe ye kat rahi hai zindagi

Ab dekh ke tujhe toot hi gaya hoon

Tu samet le mujhe samet le mujhe

Kahin bikhar na jaun main

Haan haan hmm

To aao na mere aansu ko pocho

Aur fir se rulao mujhe

Mera sab kuch hai tere liye

To aao na dil ki baatein karo

Aur fir se satao mujhe

Mera sab kuch hai tere liye

Mil jau main tumhein agar raaston mein kahin

Toh mismann hi puch lena haal mera

Main muskura kar ghum chhupa kr hi jawab dunga

Main yahi krta aaya hu yeh hai kamaal mera

Mehr von Aur

Alle sehenlogo

Das könnte dir gefallen