Madina Madinaa...2
Woh madina jo konen ka taaj hai
Jiska deedar moomin ki mehraj hai
Zindagi main khuda har musalman ko
Woh madina dekha de toh kya baat hai
Meri ulfat Madine se youn hi nahi
Mere aaqa ka rouza Madine mein hai
Chorus...
Mein Madine ki jaanib na kaise khinchu
mera deen aur dunya madine mein hai
Arsh e azam se jis ki barri shaan hai
roza e mustafa jis ki pehchaan hai ...2
jis ka humpalla, koi muhalla nahi ...2
eik aisa muhalla ,Madine mein hai
Humko apni talab se siwa chahiye
Aap jaise hai waisi ataa chahiye
Kyu kahun ye ataa wo ataa chahiye
Aap ko ilm hai unko kya chahiye
Aashiqane nabi ke hai dil ki sada ...2
Sabz e Gumbad ke saaye
main ghar chahiye....
phir mujhe maut ka koi khatra na ho
mautkya zindagi ki bhi parwa na ho ...2
kaash sarkar eik baar
mujh se kahein ...2
ab tera jeena marna, Madine mein hai
Meri ulfat Madine se youn hi nahi
Mere aaqa ka rouza Madine mein hai
Mein Madine ki jaanib na kaise khinchu
mera deen aur dunya madine mein hai
Raate bhi Madine ki...
baate bhi Madine ki
Jeene main jeena hai...kya
baat hai jeene ki
Sarware do jahaa se dua hai meri
Han yahin chashmey tar
ilteja hai meri ...2
Un ki feh rist mein,
mera bhi naam ho ...2
Jinn ka roz ana jaana Madine mein hai
Meri ulfat Madine se youn hi nahi
Mere aaqa ka rouza Madine mein hai
Mein Madine ki jaanib na kaise khinchu
mera deen aur dunya madine mein hai