menu-iconlogo
huatong
huatong
Liedtext
Aufnahmen
Aisa kabhi hua hai kya, taaron ke bin raat bani

Chanda ke aane se toh raat mein woh baat bani

Maana ki ishq mera, jaisa koi hai sitara

Tere hi aasmaan mein dhundhe koi jo basera

Bhaaye na re use nindiya

Jaagi saari-saari ratiyaan

Taaron bhari kaari ankhiyaan

Jaagi saari-saari ratiyaan

Taaron bhari kaari ankhiyaan

Mausami preet nahi, woh jo beet jaaye

Duur hi sahi hum dono, par hain nahi paraaye

Mausami preet nahi, woh jo beet jaaye

Duur hi sahi hum dono, par hain nahi paraaye

Jaise sadiyon se hi milte nahi chaand-taare

Phir bhi aasmaan mein lagte dono kitne pyaare

Ye toh jaane saari duniya

Jaagi saari-saari ratiyaan

Taaron bhari kaari ankhiyaan

Jaagi saari-saari ratiyaan

Taaron bhari kaari ankhiyaan

Ta-ra, na-na, na-na, na-na-na

Mm-hm, hm-hm, hm-hm, hm-hm-hm

La-la, la-la, la-la, la-la-la

Ta-ra, na-na, na-na, na-na-na

Mehr von Hansika Pareek/Sagnik Kolay/Soham Majumdar

Alle sehenlogo

Das könnte dir gefallen