Pathar ke sanam tujhe hamne
Mohabbat ka Khuda jaana
Pathar ke sanam tujhe hamne
Mohabbat ka Khuda jaana
Badi bhool huyi arre hamne
Yeh kya samjha, yeh kya jaana
Pathar ke sanam
Chera tera dil mein liye
Chalte rahe angaron pe
Tu ho kahin,
tu ho kahin sajde kiye
Hamne tere ruksaron ke
Hum sa na ho
koyi deewana
Pathar ke sanam tujhe hamne
Mohabbat ka Khuda jaana
Pathar ke sanam
Socha tha yeh badh jaayengi
Tanhaiyan jab raaton ki
Rasta hamein,
rasta hamein dikhlaayegi
Sham-e-wafaa un haathon ki
Thokar lagi tab pehchana
Pathar ke sanam tujhe hamne
Mohabbat ka Khuda jaana
Pathar ke sanam