Achha to ham chalte hain
Phir kab miloge
Jab tum kahoge
Jumme raat ko
Haan haan aadhi raat ko
A kahaan?
Wahi jahaan koi aata jata nahi
Wahi jahaan koi aata jata nahi
Achha to ham chalte hain
Kisi ne dekha to nahi tumhen aate
Nahi main aayi hun chupte chupate
Der kar di badi zara dekho to ghadi
Uffo meri to ghadi band hai
Teri ye ada mujhe pasand hai
Dekho bate vate kar lo jaldi jaldi
Phir na kehna abhi aayi abhi chal di
To aao paas baithen pal do pal
Aaj nahi kal aaj nahi kal
Ye to ek bahana hai
Wapas ghar bhi jaana hai
Kitni jaldi ye din dhalte hain
Haay
Taata
Achha to ham chalte hain
Phir kab miloge
Jab tum kahoge
Kal milo yaa parson
Parson nahi narson
A kahaan?
Yahi yahaan koi aata jata nahi
Achha to ham chalte hain
Uda hai kis liye tera rang gori
Hamari pakdi gayi hai bas chori
Achha?
Raam jaane kya ho ab
Kaise hua ye ghazab
Mera aanchal jo zara dhal gaya
Saari duniya ko pata chal gaya
Kaise khelenge ab aankh micholi
Leja aake mere ghar se meri doli
Tere ghar waale na kar de inkaar
Sab hain taiyar, sab hain taiyar
Sun le phir dil ki faryad
Bas baqi shadi ke baad
Piya dekho diye jalte hain
Achha
Achha to ham chalte hain
Achha to ham chalte hain
Achha to ham chalte hain