Hum tere pyaar mein saara aalam
Kho baithe hain kho baithe
Tum kehte ho ke aise pyaar ko
Bhool jaao bhool jaao
Hum tere pyaar mein saara aalam
Kho baithe hain kho baithe
Tum kehte ho ke aise pyaar ko
Bhool jaao bhool jaao
Hum tere pyaar mein saara aalam
Panchhi se chhuda kar uska ghar
Tum apne ghar par le aaye
Ye pyaar ka pinjra mann bhaaya
Hum jee bhar bhar kar muskaaye
Jab pyaar hua iss pinjre se
Tum kehne lage aazad raho
Hum kaise bhulaaye pyaar tera
Tum apni zubaan se ye naa kaho
Ab tum saa jahaan mein koi nahin hai
Hum to tumhare ho baithe
Tum kehte ho ke aise pyaar ko
Bhool jaao bhool jaao
Hum tere pyaar mein saara aalam
Iss tere charan ki dhool se humne
Apni jeevan maang bhari
Jab hi to suhaagan kehlaayi
Duniyaa ki nazar mein pyaar bani
Tum pyaar ki sundar murat ho
Aur pyaar humari pooja hai
Ab inn charanon mein dam nikale
Bas itni aur tamnna hai
Hum pyaar ke gangaa jal se balam ji
Tan mann apna dho baithe
Tum kehte ho ke aise pyaar ko
Bhool jaao bhool jaao
Hum tere pyaar mein saara aalam
Sapnon kaa darpan dekha tha
Sapnon kaa darpan tod diya
Ye pyaar kaa aanchal humne to
Daaman se tumhaare baandh liya
Ye aisi gaanth hai ulfat ki
Jisko naa koi bhi khol saka
Tum aan base jab iss dil mein
Dil phir to kahin naa dol saka
O pyaar ke saagar hum teri
Lehron mein naav dubon baithe
Tum kehte ho ke aise pyaar ko
Bhool jaao bhool jaao
Hum tere pyaar mein saara aalam
Kho baithe hain kho baithe