Jahaan-jahaan pe main hoon , vahaan-vahaan pe too hai
Baichaiyn karvaton mein mera sahaara too hai
Too hai agar nadi to main naav hoon koyi
Too hai agar zameen to main gaanv hoon koyi
Too jae jahaan, lejaa muje bhee vaheen
Kal ka kya pata, kah de jo kehna abhee
Too jae jahaan, lejaa muje bhee vaheen
Kal ka kya pata, kah de jo kehna abhee
Hai garmiyon kee shaam too (shaam too)
Ishq ka har naam too (naam too)
Tikhi, rukhi see raat mein (raat mein)
Hai khvaabon sa inaam too (inaam too)
Ho, too hee haqeeqat, too hee hai qismat
Chaahat, zarurat, ibaadat bhee too hee, too hee
Qudarat bhee too hee, barkat bhee too hee
Aadat, inayat, mohabbat bhee too hee
Too jae jahaan, lejaa muje bhee vaheen
Kal ka kya pata, kah de jo kehna abhee
Too jae jahaan, lejaa muje bhee vaheen
Kal ka kya pata, kah de jo kehna abhee