Aa..aa..a..aa.. 
O kanha ab to murli ki madhur suna do taan 
O kanha ab to murli ki madhur suna do taan 
Main hu teri, prem deewani, mujhko tum pehchaan 
Madhur suna do taan 
O kanha ab to murli ki madhur suna do taan 
Jabse tum sang maine apne, naina jod liye hai 
Kya maiya kya babul sabse, rishte thod liye hai 
Tere milan ko vyakul hai ye kabse mere praan 
Madhur suna do taan 
O kanha ab to murli ki madhur suna do taan 
Saagar se bhi gehari mere prem ki geheraai 
Lok laaj kul ki mariyada saj kar main toh aayi 
Meri preeti se o nirmohi ab na bano anjaan 
Madhur suna do taan 
O kanha ab to murli ki madhur suna do taan 
Main hu teri, prem deewani mujhko tum pehchaan 
Madhur suna do taan madhur suna do taan 
Madhur suna do taan