menu-iconlogo
logo

Gyaani

logo
Liedtext
Ek ese pehlu hai pyali pilata use dhyan se suno

Mile the 2 pyale mujhe ab dono voh khali ke gyan ko chuno

Ke peeta toh pata ni na khushi patasha ni

Jhagde tamasha aur jakde tamacha bhi

Chasme lagata aur chasme hatata bhi

Par ek drishya ke chasme tikata ni

Bas khaunga juthi varna kasme khata ni

Vaadon ko todta kabhi nibata ni

Deta umeed ni deta dilasa ni

Sab kehte hai bhari hai bula shani

Na kalamm na meri zuban me chashni kanch ki

Ye nazme hai geeta qur'an ki lakho naraz ye pratha ni aaj ki

Or shayad me chata bhi nahi ke soch ko meri tum samjho ye aaj hi

Dheemi si aanch pe rakhna pdega jab pakne lagegi toh bat vo raaz ki

Ubharne lagegi nashe si failegi or milegi keemat aawaz ki

Safar ke aant me malum pada tha ye toh sadke thi nas ki

Ghar pe chord ke aaya maa ko bimar

Sb gavadu bas hai meri kala eitbar

Sar ko fod do ya zuban meri kat

Me aakhon se likhunga yaha sab tadipar

Nas ko kat do fr khoon ka bahav

Itna tezi se aayega pura seher tera lal

Teer or kaman bharu teer ko kaman

Me fir daye na baye bas machli ki aankh

Me seekh ke ni aaya mujhme kudrati

18 saal se mujhme kud rahi thi socha kaid karu

Ulta shakti thamadi mujhe udne ki

Khoobsurti ke kasoor bhi qabool kari (Yeah!)

Ek ek boond thi vasool kare

Nashe ni hume hum nashe ko mashoor kare

Me sabko kehta ke mere jesa nahi

Zindagi me par nasha ek bar zaroor kare

Chand ki chandni

Chand ki chav me

Chan ichaye thi

10 dishaye di

Dhass dhass

Ye unko sunana hai chate jinhe jante jan pehchan ke

Ye kala ke liye ni peedi ke liye ni kare bas apne aap ke

Gaane mene bas tab hai likhe jab aaye ye sadme yad the

Sachme sath de sach ka sath de sach ke sathi toh sach bhi sath de

Maut jab mile darwaze pe (Hmm!)

Akshqar na nikle par ashq (Hmm!)

Dekhegi teri ni kad kathi (Hmm!)

Hawa ki gati se virani ho (Hmm!)

Mark kar lena